• Quickies

    Love At First Chat



     


    Note – Story based on a true event but names change for their privacy, this is a casual writing artical writer use writing language in his on way.


    Written by Pankaz Kumar Mittal 


    Mera ek friend h bada hi sidha sa usne kabhi bhi ek casual relationship chahi hi nahi phle kisi se relation chalu hui to bechara cheat hua sad se us ladke ke dimag m jaise ye baat fit ho chuki thi aaj ki duniya m love khatam ho chukka h  ab tute huye dil ka kaha kisi se baate krne ka man karta h aksar jagti hui raato m wahi facebook pr aane wale funny jokes uske sathi bankar reh gaye the ,


    Ek raat lagbhag 12:05 par wo facebook band hi karne wala tha ki ek aage se msg aata h “Gud Night Aayush Sharma” … ek ladki ka normal sa gud night jisse phle kabhi bhi usne baat tak nahi ki thi us ladki ka naam rythym tha wo uski ek fb frnd ki sister thi matlab lagbhag koi jaan pehchan nahi , ab koi aage se msg kare to har koi use khushi dikhane ki koshish hi krta h isliye Aayush ne reply thode funny mood m akar kiye lekin ladki ki baate to aisi thi jaise wo Aayush ko salo se janti ho ye shayad us saal ki kuch chuninda raato m se ek thi jab wo ladka itni der tak muskurata rha ,


    Waise to har ladki ko samjhna mushkil hota h lekin ye wali kuch jyda hi typical thi kyuki kabhi jaise 5 saal ki bacchi jaisa bachpana dikh rha tha to kabhi ek mature women jaha tak mujhe laga pehli conversation ke hisab se ye thodi different thi na kisi ne kisi se hobby poochi thi na hi kisi ne current city  baate aage badi aur feelings bhi


    Ladka kahi aur pyar dundne ki koshish m tha aur rythym ko frnd maan kar usne ye baate bta bhi di lekin ye bat sunkar wo ladki apni sadness chat m bhi nahi chupa pai us ladki ko shayad samjh m hi nahi aaya ki ye uske sath kyu ho rha h , ladke ko jane kaise uski sadness ka andaza lag gya tha ye shayad ajeeb tha kyuki roz roz to koi apne fb frnds k liye rota nahi tha shayad yaha kuch aur feelings thi jisne ansuo ko aankho tak pahuchaya ye raat dono ke liye hi senti thi par lafzo m feeling aage nahi badi wo abhi tak dost hi the ,


    Ladka kyuki kuch jyda hi sidha tha to anjane m wo Rythym ko us ladki baate batata rehta tha halanki aisi baate sunkar jo feeling Rythym ke dil m jagti thi uska andaza Aayush ko baad m hua ,


    Waise aksar jab log facebook par naraz hote h to block kar diya krte h lekin jaisa bataya tha maine ladki thodi alag hi thi uske phone m block ka option shayad us tym aata hi nahi tha ek bar naraz hone par usne block ki jagah ek call lgai lekin adhi , shayad call end hone k 5sec k andar back call bhi aa gyi laga shayad jaise ldka kisi ke call ke intejar m hi baitha tha  par jiske call ke intejar m baitha tha ye awaz uski nahi thi ye awaz pehli bar uske kano m padi thi , par jaisa ki har love story m hota h awaz ko pehchanne k liye naam batane tak ki jarurt nahi padi , ladka us din sad tha reason wahi fraud love but is awaz ne subah se khoi us smile ko pal bhar m lauta diya ladke ne shayad ye notice bhi nahi kiya ki uske chehre par smile koi aur nhi laa paya phir is awaz m aisa kya tha ,




    Chat ki baate phone par hone lagi attachment badta gya ek din ladke ko ladki pyar ka ijehar kr hi diya pr ladke ka to jaise love se viswas hi uth gya tha usne wo kiya jo aksar log krne ki sochte bhi nahi h ek ladki ka proposal reject , ladke ko shayad lga ki wo kahi is luv ke chakkar m ek apni acchi dost ko na khode par shayad ladka galat tha us proposal ne uske dil m jaise ek sailab sa macha diya tha kuch din aur thik si baate hui lekin ladka to jaise ab rythym ki jaban se kisi aur ladke k bare m sunte hi jalne lga tha shayad ye wo waqt tha jab Aayush apni feeling ko smjhne lga tha


    Lekin use lga ki usne der kar di h ladki ne na chahte huye bhi kisi aur k proposal ko haa keh diya tha us din ladke ko khud pr gussa aa rha tha aur shayd ye sahi bhi tha kyuki ye wahi feeling thi jo kuch din pahle us ladki ne Aayush ki wajah se feel ki thi, sadness ka alam kuch yu tha ki ladka 3 hours tak apne frnd se bina baate kiye unke sath baitha raha , lekin jab saccha pyar ho to kitne bhi kaante beech m aa jaye wo dur ho hi jate h




    Ladki ne us ladke ke proposal ko haa to keh diya par us ladki ko apne I luv u me shayad luv wali feeling hi nazar nhi aa rahi thi , ladka udhar bechain hokar khud ko kos raha tha dono taraf situation ek jaisi hi thi par phir bhi dono alag the ,




    Jab ladka har man chukka tha bilkul us waqt us ladki ne phir se apne pyar ka ijehar kiya ye Aayush ke liye ek umeed se badhkar khushi thi usne bina soche haa keh diya … aur ek love story shuru ho gayi .


    For chapter 2nd wait for next article


    No comments:

    Post a Comment