Nagin si balkhati hui julfon ki ot se
Jhankta chehra tera
Amavas ki kali rat me jaise punam ka chand fir jalne lga
Muskurate hoth h ya gulab si pankhudiya
Teri sharbati ankhon ka nasha madhosh fir karne laga
Andheri galiya gumnam rahe or bekhbr mnjil meri
Manjil me tere ehsaas se me khud-b-khud chalne lga
Wqt jo ruk sa gya tha
Surat meri hi dekhkr
Pal bhar tujhe niharke
Aaj fir chalne lga
Jo chaman murjha gya tha
Teri yadon k saye mei
Ek tere didar se
Wo aaj fir khilne laga
Jism me sanse to thi
Pr dil mera tuta hua
Tasveer teri dekhkr ye aj fir dhadakne laga
Ithlati balkhati si
Ek chanchal sokh hasina tum
Rupvati tum madhumati tu
Urvasi menka rambha tum
Likhna chaha likh na paya
Teri yadon se ghayal tha
Chehra tumhara dekhkr me aaj fir likhne lga
Ha aj fir likhne lga.....
Chehra tumhara dekhkr..😪
- Viky Chahr
Viky Chahar
Home
Dard
facebook status
Full Poem
hindi shayari
Love
sad shayari
Viky Chahar
Chehra Tumhara Dekhkar
No comments:
Post a Comment