• Quickies

    Chahe badal jaye ye duniya

    Tune hi toh dosti ka asli matlab sikhaya hai,
    jab hun gussa, toh jokar ban kar hasaya hai,
    meri khushi mei mujhse jyada khush hokar dikhaya hai,
    jab jaroorat padi toh hamesha samjhaya hai,

    waqt aacha ho ya bura, tera sath hamesha paya hai,
    aaj tere door jaane se hame yeh samhaj aaya hai,
    dosti wo cheez hai jise fasle baat nhi sakte,
    waqt ke khanzar jise kaar nhi sakte,

    Dosti toh khuda ki batayi huyi sabse pyari sogat hai,
    har khushi ka pal bitana  ke sath hai,
    haesha rahegi yeh dosti hamne yeh hai mana,
    chahe badal jaaye yeh duniya ya zamana .


     Prafful Singhal 


    No comments:

    Post a Comment