• Quickies

    Meri barbadi ka gavah




    Ab toh waqt bhi meri barbadi ka gavha hoga,
    meri barbadi ka sabse bada karan toh wo khuda hoga,
    Na jaane kyu khud ko samhja samhja kar haarta ja rha hun
    khud ko hi khud se baatta ja rha hun,

    Samay nei rulaya mujhko, kismat nei bhi sataya hai,
    aalam toh kuch aasa ho chuka hai ki mujhe har pal rulaya hai,
    ab toh hasne se jaise koi dushmani si ho gayi hai,
    ab toh gam ke sath koi ajab se dosti si ho gayi hai,

    jinki raho mei the phoolo ko bichane,
    wo toh khud hi hamse rooth kar chale gaye,
    jiske liya chale the is duniya se ladne,
    wo toh beech majhdhar mei pada chor gaye,

    kuch aasa aalam bana gaye wo gamo ki barish mei hamere liya,
    na toh koi kinara diya khud ko chipane ke liya,
    bas itni is baat wo jaate jaate is dil mei bhar gaye,
    ki ham toh jeete ji jaise ho unke liya mar gaye ,

    Na unse koi gila na hi koi shikwa hai,
    par na jaane kis baat ka humko yeh sabak mila hai,
    unko khud se jyada chahane ki agar yahi saza hai,
    aur khuda ki agar isi mei chipi raza hai,
    Na kisi se koi shikayat karne ki hamne thadi hai,
    Kyuki kisi ko bata ke bhi na hi is dil nei koi rahat paani hai,

    Na dil mei bachi ab koi chahat pane ki,
    na hi bachi hai himmat khud ko bachane ki,
    na jaane apni hi galtiyo ko kyu bar bar dohra rha hun,
    itne bade sansar mei khud ko akela sa paa rha hun .


     Prafful Singhal 


    No comments:

    Post a Comment