• Quickies

    Mitti me hi mil jana hai


    Jab chala u khud ko samhajne,khud se hi ghabra gaya,
    aakho ke samne ek andhera kala ghana sa cha gaya,
    na koi badi shaksiyat na koi khuda ke pyare hai hum,
    ja kuch paane aur na hasil karne ka bacha hai ab dum,

    Abhi tak jakar bhi yeh samhaj na aaya,
    khuda ne hai na jaane kyu mujhe banaya,
    jab kuch alag sa hi karne ki thaan rakhi hai,
    par usko poora karne ke ab jaan nhi hai,


    Ab toh khud ki nazro m hi gir chuke hai,
    Zinda rehte huye bhi jaise mar chuke hai,
    aasman ko paane ki chhahat rakhte hai,
    jo bhi mila use khuda ki riyayat samhajte hai,

    Par ab shuru se shuvaat karne ki na himmat hai na chahat,
    Na chahiye koi marham aur na hi chahiye koi rahat,
    Har ek zakhm ko nasoor banana hai,kuch kar ke dikhana hai,
    kyuki ek na ek din us mitti me hi mil jana hai

     - Prafful Singhal 


    No comments:

    Post a Comment